12 thoughts on “hawa

  1. Dear Shekhar,
    Kya ho raha hai Las Vegas main – lagta hai hawa me kuch jadoo hai. I haven’t asked the wind where it came from as I do believe that some things have to be just enjoyed as mysteries – I think that’s the god’s plan. Air is one of the greatest wonders of the world – none’s, yet everyone’s.
    “When the wind calls,
    You know,
    That somewhere in the mountains,
    It has found the answers that you were looking for.
    The pull of the horizon overcomes the inertia of reason…
    And you just have to go”.
    -Vikram Oberoi, on a motorcycle trek to Ladakh
    Best Regards,
    Himanshu

  2. Maine to nahi but Kedarnath Agarwal bhaai saab ne hawa se yeh prash kiya thaa Shekhar. Aur hawa ka uttar, unhone ne ek kavita ke roop me prastut kiya.
    You can read that poem here.

  3. Hawa se jab pucha…
    thu kyu hai chali…
    yu jo hai manchali…
    chukar mere mann ko…
    jaga kar mere tann ko…
    khaabon ko kaha le uri…
    Hawa ne hunskar kaha…
    meh yaha -kabhi waha…
    sawalon meh thu khoi hai…
    jawabon seh thu royi hai…
    sataye, har pal tera jeeya…
    haqiqat meh ayega tera peeya…
    Oh! sharmane lagi fir meh…
    yu ghabraneh lagi kyu meh…
    ek soor hai ek taal hai…
    behekti hui meri chaal hai…
    woh churane lageh hai nazar…
    hawa ne aisa kiya hai asar…
    SigH!!
    Good Morning Shekhar….

  4. shekhar…….koi hawa kyun banna chahega….? unless you are oppressed by the demands made on the person you are within the body you have ?
    as far as i see it its the body that allows you to share love, laughter, affection…..
    hawa is when you wish to be thought of as NOT THERE…….so there can be NO expectations.

  5. Maine poochha jab hawa se yeh…
    kahan se tu aayi aur kidhar tu gai…
    To boli hawa
    udtee hoon main ek masti mein..
    manzilon ki talaash mein har basti mein…
    koi mera apna naa begaana yahan..
    mil jaata hai kabhi tujhsa deewana yahan…
    jaane kidhar se aayee main…
    jaane kidhar ko jaaungi …
    do pal jo milen tujhe, yun hi naa gawaa denaa…
    kho kar mujhe tum, yaadon mein na basa lena…
    abhi thhee yahan, abhi kahan gayee
    jaise aaj sabke dilon se mohabbat hai kho gayee.

  6. “shayad kahin apno se mil kar aayi hogi ye hawa…
    unke gallon ko chumti hui pahunchi hogi yahan…
    aisa soch kar ik sirhan si uthti hai mujhme…
    jab wahi hawa pyaar se thapthapati hai in gallon ko…
    ab aage behne se pehle le jaana hamara salaam…
    un sabko jo hamare dil me to hain …par door bethe hai…”
    Shekharji…

  7. agar sachmooch hava se poochha hota to woh shayad kehti.. ‘ kaash main insaan hoti……. to is nek insaan ko chhukar hug deti aur uske saare gam dooooor kar deti….’
    after all aapke ‘ apnapan ‘ list mein hava to kabhi maujood ho hi nahi sakti……….na ? ha ha !

  8. tumne kabhi hawa se jawab suna hai
    mai yahanse aayi
    wahan ko gayi
    isliye aai
    isliye gayi
    jab humney puucha hi nahi,,,
    kyon bataee wo..
    apno se bhi kuch puucha jata hai kya ?

  9. Haan poocha to usne kaha
    tumhaare liye paigam layi
    jiski shakl tumhari aankhon
    mein har waqt muskurati hai
    woh tumse door tumhare baare mein
    soch aahein bhar raha tha
    Bas usi ko tum tak pahunchane aayi
    Issiliye aayi
    aur phir waisa hi kuch la sakoon
    issiliye tumse kaha
    Alvida….
    Take care
    Traveller

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.